Ramadan Ki Amad Hai Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein Dar-e-Taurba Khula Hai Is Mahine Mein - Urdu Poetry Collections

Hot

Monday 24 February 2020

Ramadan Ki Amad Hai Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein Dar-e-Taurba Khula Hai Is Mahine Mein



Ramadan Ki Amad Hai
Rehmatein Barasane Wala Mahina Hai
Ao Aaj Sub Khataon Ki Maafi Maang Lein
Dar-e-Taurba Khula Hai Is Mahine Mein

Firdous Ki Khusboo Ati Hai
Woh Naseeb Wala Hai Jise Mile Firdous
Ao Aaj Hum Koshish Karein
Usse Paane Ki, Jise Hum Ne Abhi Talak Paya Hi Nahin

Ibadatoon Ke Is Door Mein
Ao Maangein Sub Ke Liye Magfarat
Maangtein Hain Hum Kuch Na Kuch Apne Liye
Chalo Aaj Doosroon Ke Liye Maangein

Ramadhan Ki amad Ki Khusi Hai Bahut
Saath Hi Is Ke Jald Roohsat Ho Jaane Ka Ghum
khuda Kare Waqt Tham Jaein Us Waqt
Jab Baras Rahi Ho Khuda Ki Rehmat Hum Par

Ramadhan Ke Roohsath Hone Se Pehle
Dar-e-Tauba Band Hone Se Pehle
Is Mubarak Mahine Ki Har Fazilat Hasil Kar Lein
Jo Hum Ghuzishta Saaloon Mein Hasil Na Kar Sake

Ramadhan Mubarak… Ramadhan Mubarak…
Ramadhan Mubarak… Ramadhan Mubarak

No comments:

Post a Comment

We Love To Hear From You
Keep Supporting Us With Your Comments