suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr men kuchh din Thahar ke dekhte hain
suna hai rabt hai us ko ḳharab-halon se
so apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki
so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaġhaf
so ham bhi moajize apne hunar ke dekhte hain
suna hai bole to baton se phuul jhaḌte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
suna hai raat use chand takta rahta hai
sitare bam-e-falak se utar ke dekhte hain
suna hai din ko use titliyan satati hain
suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain
suna hai hashr hain us ki ġhazal si ankhen
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
suna hai raat se baḌh kar hain kakulen us ki
suna hai shaam ko saye guzar ke dekhte hain
suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain
suna hai us ke labon se gulab jalte hain
so ham bahar pe ilzam dhar ke dekhte hain
suna hai aina timsal hai jabin us ki
jo saada dil hain use ban-sanvar ke dekhte hain
suna hai jab se hamail hain us ki gardan men
mizaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan men
palang zaviye us ki kamar ke dekhte hain
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ki phuul apni qaba.en katar ke dekhte hain
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahin
ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain
bas ik nigah se luTta hai qafila dil ka
so rah-ravan-e-tamanna bhi Dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain
ruke to gardishen us ka tavaf karti hain
chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain
kise nasib ki be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar o divar ghar ke dekhte hain
kahaniyan hi sahi sab mubalġhe hi sahi
agar vo ḳhvab hai tabir kar ke dekhte hain
ab us ke shahr men Thahren ki kuuch kar jaaen
'faraz' aao sitare safar ke dekhte hain
No comments:
Post a Comment
We Love To Hear From You
Keep Supporting Us With Your Comments