Libas e yar ko mein para para kiya kerta
Qibaye gul se usay Istara kiya kerta
Bahar gul mein hain darya k Josh ki Lehren
Bhala me khustaye men se kinara kiya kerta
Nikab ulat k jo muh ashiqoon ko dikhatay
Tumhen Kaho keh tumhara nazara kiya kerta
Suna Jo Hal Dil Zar Yar Ne To Kaha
Tabeeb martay howay ka hay chara kiya kerta
Hilal Eid ka Har chand ho Jahan Mustaq
Tumhari Abro-on ka Sa Ishara Kiya kerta
Haqiqat Dehnay Yar kholta kyun ker
Nafatah raz ko mein ashqar kiya kerta
Qadam Ko Peche Reh Khofnak Ishq me Rakh
Yeh Pehlay Dekh le Dil hai Ishara Kiya Kerta
Khum Sharab Se Mujh Mast ne nah Muh phera
Kinar-e- aab se piyasa kinara kiya kerta
Bahar thi jo wo Gul chehra yar bhi hota
Akele Ja k Chaman Ka Nizara Kiya kerta
Gudaz Moom se har Istakhwan ko pata hoon
Phr aur Sozish Dil ka Hararah kiya kerta
Bara Hi Khuwar Ilaqa Hai Gulshan e Ulfat
Meri trhan Koi Us me Ajarah Kiya kerta
Sharab Khuld ki khatir dhen hai rakhta saf
Wuzu mein warna yeh zahid gararah kiya kerta
Shikasta Dil na ho us buth k naz se kyun ker
Salook Sheesha se Hai Sangay Khara kiya kerta
Bahar gul me pyala lga liya muh se
Sharab pene ko mein istakhara kiya kerta
Faqeer ko nahen darqar shan ameeron ki
Sar Barhana sar goshwara kiya kerta
Bahar gul mein tha jama se bahir aay tabish
Na kerta mein Jo gareban Ko Para kiya Kerta
No comments:
Post a Comment
We Love To Hear From You
Keep Supporting Us With Your Comments