Aah ko Chahiye ik umer asar hote tak Kaun Jita hai teri zulf ke dar hote tak - Urdu Poetry Collections

Hot

Thursday, 20 February 2020

Aah ko Chahiye ik umer asar hote tak Kaun Jita hai teri zulf ke dar hote tak




Aah ko Chahiye ik umer asar hote tak
Kaun Jita hai teri zulf ke dar hote tak

Dam e har mauj men hai halqa e sad kam e nahang
Dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak

Ashiqui sabr-talab aur tamana betab
Dil ka kya rang kroon khun e jigar hote tak

Ta qayamat shab e furqat men guzar jaegi umer
Saat dim ham pe bhi bhari hain sahar hote tak

Hum ne mana ku taghaful na keroge lekin
Khaak ho jaenge hum tum ko khabar hote tak

Partav e khur se hai shabnam ko fana ki ta-alim
Main bhi hun ek inayat kin azar hote tak

Yak nazar besh nahen fursat e hasti ghafil
Garmi e bazm hai ik raqs e sharer hote tak

Gham e hasti ka asad kis se ho juz marg ilaaj
Sham-ma har rang men jalti hai sahar hote tak

No comments:

Post a Comment

We Love To Hear From You
Keep Supporting Us With Your Comments