Garmi-E-Hasrat-E-Nakam Se Jal Jaate Hain | Qateel Shafai - Urdu Poetry Collections

Hot

Tuesday 26 November 2019

Garmi-E-Hasrat-E-Nakam Se Jal Jaate Hain | Qateel Shafai


                         Garmi-E-Hasrat-E-Nakam Se Jal Jaate Hain
Ham Charaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hain

Sham.A Jis Aag Men Jalti Hai Numa.Ish Ke Liye
Ham Usi Aag Men Gumnam Se Jal Jaate Hain

Bach Nikalte Hain Agar Atish-E-Sayyal Se Ham
Shola-E-Ariz-E-Gulfam Se Jal Jaate Hain

Khud-Numa.I To Nahin Sheva-E-Arbab-E-Vafa
Jin Ko Jalna Ho Vo Aram Se Jal Jaate Hain

Rabt-E-Baham Pe Hamen Kya Na Kahenge Dushman
Ashna Jab Tire Paigham Se Jal Jaate Hain

Jab Bhi Aata Hai Mira Naam Tire Naam Ke Saath
Jaane Kyuun Log Mire Naam Se Jal Jaate Hain

No comments:

Post a Comment

We Love To Hear From You
Keep Supporting Us With Your Comments